Bas leta hoon main tera naam
Japta hoon Kanha subaho shaam
Tere charanon mein hai chaaro dhaam, mere Kanha…
Main karta hoon tumko pranam
Tumhi Krishna ho tumhi mere Ram
Mere bigde banaye saare kaam, mere Kanha…
O Murli wale, Bansi madhur wale
Aaya tere dware sanware, charanon mein jagah dena
Kanha re Kanha, tera main deewana
Apne deewane ko Kanha, meethi dhun suna dena
Kanha re Kanha, tera main deewana
Apne deewane ko Shyam, meethi dhun suna dena
Shyam rang mor pankh, bansi liye haath mein
Muskurate mukh se barse gyaan inki baat mein
Dhenu sang ho magan, jhoomen gaaye ye pawan
Dhun mein teri ram gaye Kanha, dharti ye ambar gagan
Nand ke o Laala, Braj ke Gopala
Aaya tere dware sanware, charanon mein jagah dena
Kanha re Kanha, tera main deewana
Apne deewane ko Kanha, meethi dhun suna dena
Kanha re Kanha, tera main deewana
Apne deewane ko Shyam, meethi dhun suna dena
Srishti ka rachayita tu
Karmon ka phal deta tu
Aaye jo bhi teri sharan mein
Kashton ko har leta tu
Tu hi meri tu hi har aas mein Kanha
Man mandir ardaas mein Kanha
Jeevan maran ka shok kahaan mohe
Tu hi jab har saans mein Kanha
Tu hi Ram tu hi Krishna, tu hi Hari naam bhi
Tu hi aadi tu hi ant, tu hi Geeta gyaan bhi
Tum bina ai mere Prabhu, mera kya wajood hai
Tera mera naata Kanha, janmo se atoot hai
O Priyatam pyaare, tum Braj ke dulaare
Teri baat niharu aakar, mujhko tu apna lena
Kanha re Kanha, teri main deewani
Apni deewani ko Kanha, meethi dhun suna dena
Hare Krishna Hare Krishna, Krishna Krishna Hare Hare
Hare Rama Hare Rama, Rama Rama Hare Hare